BROILER POULTRY FARMING
Broiler Farming || Poultry Farming || Complete Details
Iss Article me hum Janinge Broiler Farming ke
Complete Process ke Bare me, yani ki meat purpose ke liye Chicken ki farming.
Farm Requirement: 1,000 Birds = 1,200 sq Feet
Space Requirement per Bird- 1.2sq feet
Roof Cooling ke liye hum Generally Straw,grass mtlb fuss or khar ko use me lete hai….
Iske Alawa farm ki Shed Tin, ya Aesbestos Cement Sheet ke bhi hote hai,
Farm me Ventilation jaruri hai Gas release hone ke liye
Waise iske liye Exhaust fan ka bhi use karte hai….
Natural Light or hawa ke liye Wall ke jagah net ka use kiya jata hai…
Types of Chicks
- Russ Breed (lower)
- AP- 95 (upper)
- Cub – (good)
- Cub 400- (Better)
- Cub 400y – (Best)
1st Day
Hatchery to farm
Hatchery se Farm me chicks aane pe
Brooding ki jati hai….
Farm me Poision ka Spray kiya jata hai jise kit nasak kehte hai
Lime yani chuna ka layer kiya jata hai putai… ya phir chirkab….
Ye sab Bacterial infectation se bachane ke liya kiya jata hai,
chuki Chicks Corner me Bhadi matra me ikkatha hote hai, wo ek ke upar kai sare chadh jate hai
Aur uss wajah se dabke marr jate hai,
Isiliye Birds ko rakhne ke liye Steel sheet ka Circle shape me banaya jata hai Taki Corner na Bane,
Niche Surface pe Addhai se Teen inch Wood ka Dust yani ki kunni use kiya jata hai…..
Jiska Purpose hai Softness, or Beat ke Soaking ke liye
Iski liquid absorbing Capacity jada hoti hai….
1st Day 24 Hour ke liye Paper ke layer dala jata hai… taki Chicks …jo Chote birds hote hai khana Seekhe
Ussme Chicks ko khane ke liye
Uniformaly Feed faila diya jata hai…. Or phir 24 Hours baad usme Feeder lagaya jata hai… jisme Feed hote hai
Feeder Ek Certain Growth ke baad Change karke bada sa lagaya jata hai…
Or jbb middle Age ke ho jate hai tab Feeder ko String ke madad se hang kiya jata hai ,
Wohi Pani ke liye Drinker ka Use kiya jata hai isske bhi Different size hote hai 1 week ke baad height badha di jati hai Stand ki madad se
Feed
Agr Feed ki Baat karu to 3 types ke Feed hote hai
- Pre starter
- Starter
- Aur Finisher
Prestarter–
100-Birds per 50kg 14 days ke liye
Jab Chicks Hatchery se aate hai tbb wo 40-45g Weight hota hai
Aur 14 days ke Baad Ek Bird ka Weight 450-500g hota hai
Starter–
14 days to 29 Days tkk 150kg 100 birds ko Khilaya jata hai… tbb uska weight 1 kg 300g ya 1kg 400g ke Aaspaas hota hai..
Finisher–
29 days to 35 days tak 100kg Feed khilaya jata hai..
Tbb ek bird ka Weight Approx 2 kg hota hai
Yani ki 1 Bird 3kg Feed khane pe 2kg hota hai..
Iska Hum FCR nikalte hai
Yani Feed Conversion Ratio
3 kg Feed Divided /2kg Bird = 1.5 ratio aata hai
1st Day Birds ko Panni ke Saath jaggery yani gur ke saath Baking soda Disolve kar ke diya jata hai
2nd Day se se 5th day tak Antibiotic ke liye Neodox Forte ya koi aur dawa di jati hai
Iske alawa Gurd aur kideny ke liye Nefrotec ya koi aur diya jata hai ye Alternative Form me Diya jata hai morning-Evening
Paani ki Requirement ke Anusar mainy 2 time to 3 times diye jate hai…
Wahi Feed 2 Times diya jata hai ek Subha ek saam Dophar ka Waqt ko khali rakha jata hai… taki paani Bharpoor pi Sake.
Vaccination
ye Period 5 wa se 7 wa din pe F1 vaccine diya jata hai purpose (Rani khet) se bachv ke liye
next 12 wa se 14 wa din
Gamero disease ke liya diya jata hai..
Temperature Requirements
-
40° C – 5 days
-
35° C – 5 days
-
30° C – 5 days aur
-
25° C ……
Or Baki ke Apne Requirement ke Anusar
Toh Ye Thi Complete Detail Broiler Farming ke uppar jo ki Meat ke Purpose ke liye Use Kiya jata hai…
Umid Karta huu Aapko ye article pasand Aaya hoga
Humare Youtube channel ko ap checkout kar sakte hai.